log muddat meñ banā paate haiñ ghar
zalzale aate haiñ gir jaate haiñ ghar
vo makānoñ ke makīñ haiñ Thiik hai
ḳhush nasīboñ ko hī mil paate haiñ ghar
maz.haboñ kī aaḌ le kar nafrateñ
phail jaatī haiñ to baT jaate haiñ ghar
jo haqīqat meñ ho ghar vo ghar kahāñ
ham ko jaanā hī hai so jaate haiñ ghar
har jagah ruknā munāsib hai kahāñ
yuuñ to raste meñ bahut aate haiñ ghar
ye makāñ thā is ko ghar samjhā kiye
kaise kaise ham ko bahkāte haiñ ghar
umr saarī rāstoñ meñ kaT ga.ī
vaqt ab aayā hai ab jaate haiñ ghar
ik zarā sā pyaar honā chāhiye
dil mileñ to ḳhud lipaT jaate haiñ ghar
umr 'hairat' dopahar kī dhuup thī
shaam ab aa.ī hai ab jaate haiñ ghar
log muddat mein bana pate hain ghar
zalzale aate hain gir jate hain ghar
wo makanon ke makin hain Thik hai
KHush nasibon ko hi mil pate hain ghar
mazhabon ki aaD le kar nafraten
phail jati hain to baT jate hain ghar
jo haqiqat mein ho ghar wo ghar kahan
hum ko jaana hi hai so jate hain ghar
har jagah rukna munasib hai kahan
yun to raste mein bahut aate hain ghar
ye makan tha is ko ghar samjha kiye
kaise kaise hum ko bahkate hain ghar
umr sari raston mein kaT gai
waqt ab aaya hai ab jate hain ghar
ek zara sa pyar hona chahiye
dil milen to KHud lipaT jate hain ghar
umr 'hairat' dopahar ki dhup thi
sham ab aai hai ab jate hain ghar
Leave a comment