Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Farrukhabadi

  • Ghazal


dil dukhana tumhaari fitrat hai


dil dukhānā tumhārī fitrat hai
choT khānā hamārī aadat hai

mujh ko yūñhī ḳharāb honā thā
be-sabab tum ko kyuuñ nadāmat hai

jhāñk kar ek baar āñkhoñ meñ
ḳhud hī paḌh lo jo dil kī hālat hai

rāh-e-ulfat meñ jaan de denā
is se baḌh kar koī shahādat hai

terī furqat ho yā tirī qurbat
ek dozaḳh hai ek jannat hai

tum ne dekhā hai aise jalvoñ ko
kis liye mujh se phir shikāyat hai

is bharose gunāh kartā huuñ
baḳhsh denā tumhārī fitrat hai

sū-e-mai-ḳhāna uTh chale haiñ qadam
jaise ye bhī koī ibādat hai

zindagī ko sambhāl kar rakhnā
ek be-dard kī amānat hai

dard hī dard jis ke sheroñ meñ
aur hai kaun sirf 'hairat' hai

dil dukhana tumhaari fitrat hai
choT khana hamari aadat hai

mujh ko yunhi KHarab hona tha
be-sabab tum ko kyun nadamat hai

jhank kar ek bar aankhon mein
KHud hi paDh lo jo dil ki haalat hai

rah-e-ulfat mein jaan de dena
is se baDh kar koi shahadat hai

teri furqat ho ya teri qurbat
ek dozaKH hai ek jannat hai

tum ne dekha hai aise jalwon ko
kis liye mujh se phir shikayat hai

is bharose gunah karta hun
baKHsh dena tumhaari fitrat hai

su-e-mai-KHana uTh chale hain qadam
jaise ye bhi koi ibaadat hai

zindagi ko sambhaal kar rakhna
ek be-dard ki amanat hai

dard hi dard jis ke sheron mein
aur hai kaun sirf 'hairat' hai


Leave a comment

+