dard ban ke kabhī ġham ban ke satātā hī rahā
apne hone kā vo ehsās dilātā hī rahā
vo ḳharīdār to muddat huī aatā hī rahā
maiñ dukāñ hīroñ kī palkoñ pe sajātā hī rahā
haa.e vo us ke judā hone kā manzar yārab
vo chalā bhī gayā maiñ haath hilātā hī rahā
gahrī tārīkī thī sannāTā thā par ik jugnū
raushnī kā mujhe ehsās dilātā hī rahā
har nayā daur na.e le ke charāġh aayā kiyā
ik añdherā sā magar ziist pe chhātā hī rahā
merī bezār tabī.at ko sukūñ mil na sakā
yuuñ to har roz tirī bazm meñ jaatā hī rahā
na samajh paayā ye insān mazāhib ke husūl
ghar yahāñ bhaa.ī kā ḳhud bhaa.ī jalātā hī rahā
ab ke bādal ko ḳhudā jaane huā kyā aisā
jab bhī barsā to harī fasl jalātā hī rahā
saarā din us ke tasavvur se huā kī bāteñ
ḳhvāb ban ke mirī rātoñ ko sajātā hī rahā
sher-o-fan us kā hai mamnūn dabī aahoñ meñ
apne ġham se mirī ġhazloñ ko sajātā hī rahā
vaqt ke saath badal jaatā maiñ lekin har pal
merā maazī mujhe ā.īna dikhātā hī rahā
ek ma.asūm sā pākīza sā jazba 'hairat'
jab bhī bahkā to mujhe raah pe laatā hī rahā
dard ban ke kabhi gham ban ke satata hi raha
apne hone ka wo ehsas dilata hi raha
wo KHaridar to muddat hui aata hi raha
main dukan hiron ki palkon pe sajata hi raha
hae wo us ke juda hone ka manzar yarab
wo chala bhi gaya main hath hilata hi raha
gahri tariki thi sannaTa tha par ek jugnu
raushni ka mujhe ehsas dilata hi raha
har naya daur nae le ke charagh aaya kiya
ek andhera sa magar zist pe chhata hi raha
meri bezar tabiat ko sukun mil na saka
yun to har roz teri bazm mein jata hi raha
na samajh paya ye insan mazahib ke husul
ghar yahan bhai ka KHud bhai jalata hi raha
ab ke baadal ko KHuda jaane hua kya aisa
jab bhi barsa to hari fasl jalata hi raha
sara din us ke tasawwur se hua ki baaten
KHwab ban ke meri raaton ko sajata hi raha
sher-o-fan us ka hai mamnun dabi aahon mein
apne gham se meri ghazlon ko sajata hi raha
waqt ke sath badal jata main lekin har pal
mera mazi mujhe aaina dikhata hi raha
ek masum sa pakiza sa jazba 'hairat'
jab bhi bahka to mujhe rah pe lata hi raha
Leave a comment