Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Allahabadi

  • Ghazal


ye mahw hue dekh ke be-saKHta-pan ko


ye mahv hue dekh ke be-sāḳhta-pan ko
ā.īne meñ ḳhud chuum liyā apne dahan ko

kartī hai nayā roz mire dāġh-e-kuhan ko
ġhurbat meñ ḳhudā yaad dilā.e na vatan ko

chhoḌā vatan ābād kiyā mulk-e-dakan ko
taqdīr kahāñ le ga.ī yārān-e-vatan ko

kyā lutf hai jab monis o yāvar na ho koī
ham vādi-e-ġhurbat hī samajhte haiñ vatan ko

murjhā.e paḌe the gul-e-mazmūn hazāroñ
shādāb kiyā ham ne gulistān-e-suḳhan ko

ḳhidmat meñ tirī nazr ko kyā laa.eñ ba-juz dil
ham rind to kauḌī nahīñ rakhte haiñ kafan ko

ye mahw hue dekh ke be-saKHta-pan ko
aaine mein KHud chum liya apne dahan ko

karti hai naya roz mere dagh-e-kuhan ko
ghurbat mein KHuda yaad dilae na watan ko

chhoDa watan aabaad kiya mulk-e-dakan ko
taqdir kahan le gai yaran-e-watan ko

kya lutf hai jab monis o yawar na ho koi
hum wadi-e-ghurbat hi samajhte hain watan ko

murjhae paDe the gul-e-mazmun hazaron
shadab kiya hum ne gulistan-e-suKHan ko

KHidmat mein teri nazr ko kya laen ba-juz dil
hum rind to kauDi nahin rakhte hain kafan ko

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 ye mahw hue dekh ke be-saKHta-pan ko Nomaan Shauque

Leave a comment

+