Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haidar Qureshi

  • Ghazal


ab ke usne kamal kar Dala


ab ke us ne kamāl kar Daalā
ik ḳhushī se niDhāl kar Daalā

chāñd ban kar chamakne vaale ne
mujh ko sūraj-misāl kar Daalā

pahle ġham se nihāl kartā thā
ab ḳhushī se nihāl kar Daalā

ik haqīqat ke ruup meñ aa kar
mujh ko ḳhvāb-o-ḳhayāl kar Daalā

dukh-bhare dil se dukh hī chhīn liye
aur jiinā vabāl kar Daalā

ek ḳhush-ḳhat se shaḳhs ne 'haidar'
ham ko bhī ḳhush-ḳhayāl kar Daalā

ab ke us ne kamal kar Dala
ek KHushi se niDhaal kar Dala

chand ban kar chamakne wale ne
mujh ko suraj-misal kar Dala

pahle gham se nihaal karta tha
ab KHushi se nihaal kar Dala

ek haqiqat ke rup mein aa kar
mujh ko KHwab-o-KHayal kar Dala

dukh-bhare dil se dukh hi chhin liye
aur jina wabaal kar Dala

ek KHush-KHat se shaKHs ne 'haidar'
hum ko bhi KHush-KHayal kar Dala


Leave a comment

+