Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haidar Qureshi

  • Ghazal


tumhaare ishq mein kis kis tarah KHarab hue


tumhāre ishq meñ kis kis tarah ḳharāb hue
rahā na ālam-e-hijrāñ na vasl-yāb hue

bas itnī baat thī do din kabhī na mil paa.eñ
kahīñ pe tapte hue thal kahīñ chanāb hue

ajab sazā hai ki mere duāoñ vaale hurūf
na mustarad hue ab tak na mustajāb hue

zihānateñ thiiñ tirī yā anāḌī-pan apnā
savāl vasl se pahle hī lā-javāb hue

haqīqat itnī hai us ke mire ta.alluq kī
kisī ke dukh the mire naam intisāb hue

jise samajhte the sahrā vo ik samundar thā
khilā vo shaḳhs to ham kaise aab aab hue

na aayā Dhañg hameñ koī ishq kā 'haidar'
na dil ke zaḳhmoñ ke ham se kabhī hisāb hue

tumhaare ishq mein kis kis tarah KHarab hue
raha na aalam-e-hijran na wasl-yab hue

bas itni baat thi do din kabhi na mil paen
kahin pe tapte hue thal kahin chanab hue

ajab saza hai ki mere duaon wale huruf
na mustarad hue ab tak na mustajab hue

zihanaten thin teri ya anaDi-pan apna
sawal wasl se pahle hi la-jawab hue

haqiqat itni hai us ke mere talluq ki
kisi ke dukh the mere nam intisab hue

jise samajhte the sahra wo ek samundar tha
khila wo shaKHs to hum kaise aab aab hue

na aaya Dhang hamein koi ishq ka 'haidar'
na dil ke zaKHmon ke hum se kabhi hisab hue


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+