Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haidar Qureshi

  • Ghazal


dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain


diloñ meñ dushmanoñ ke is tarah Dar bol uThte haiñ
gavāhī ko chhupāte haiñ to manzar bol uThte haiñ

mirī sachchā.ī merī be-gunāhī sab pe zāhir hai
ki ab jañgal kueñ sahrā samundar bol uThte haiñ

vo patthar-dil sahī lekin hamārā bhī ye da.avā hai
hamāre lab jinheñ chhū leñ vo patthar bol uThte haiñ

badal jaate haiñ ik lamhe meñ hī tārīḳh ke dhāre
kabhī jo mauj meñ aa kar qalandar bol uThte haiñ

ye kyā jaadū hai vo jab bhī mire milne ko aatā hai
ḳhushī se ghar ke sab dīvār aur dar bol uThte haiñ

zabān-e-haq kisī ke jabr se bhī ruk nahīñ saktī
ki neze kī anī par bhī Tañge sar bol uThte haiñ

laboñ kī qaid se kyā farq aayā dil kī bātoñ meñ
ki saare lafz āñkhoñ se ubhar kar bol uThte haiñ

ajab ahl-e-sitam ahl-e-vafā meñ Than ga.ī 'haidar'
sitam karte haiñ vo aur ye mukarrar bol uThte haiñ

dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain
gawahi ko chhupate hain to manzar bol uThte hain

meri sachchai meri be-gunahi sab pe zahir hai
ki ab jangal kuen sahra samundar bol uThte hain

wo patthar-dil sahi lekin hamara bhi ye dawa hai
hamare lab jinhen chhu len wo patthar bol uThte hain

badal jate hain ek lamhe mein hi tariKH ke dhaare
kabhi jo mauj mein aa kar qalandar bol uThte hain

ye kya jadu hai wo jab bhi mere milne ko aata hai
KHushi se ghar ke sab diwar aur dar bol uThte hain

zaban-e-haq kisi ke jabr se bhi ruk nahin sakti
ki neze ki ani par bhi Tange sar bol uThte hain

labon ki qaid se kya farq aaya dil ki baaton mein
ki sare lafz aankhon se ubhar kar bol uThte hain

ajab ahl-e-sitam ahl-e-wafa mein Than gai 'haidar'
sitam karte hain wo aur ye mukarrar bol uThte hain


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 546) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+