Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haidar Qureshi

  • Ghazal


ek KHwab ki jo aankh bhigone ke liye hai


ik ḳhvāb ki jo aañkh bhigone ke liye hai
ik yaad ki siine meñ chubhone ke liye hai

ik zaḳhm ki sab zaḳhm bhulā Daale haiñ jis ne
ik ġham ki jo tā-umr bhulāne ke liye hai

ik ruuh ki sonā hai magar mail bharī bhī
ik aag isī mail ko dhone ke liye hai

āñkhoñ meñ abhī dhuul sī lamhoñ kī jamī hai
dil meñ koī sailāb sā rone ke liye hai

dil ko to bahut pahle se dhaḌkā sā lagā thā
paanā tirā shāyad tujhe khone ke liye hai

kashtī kā ye hachkolā ye mallāh kā chakkar
kashtī ko nahīñ mujh ko Dubone ke liye hai

taqdīr se laḌ saktā hai koī kahāñ 'haidar'
vo hādsa honā hai jo hone ke liye hai

ek KHwab ki jo aankh bhigone ke liye hai
ek yaad ki sine mein chubhone ke liye hai

ek zaKHm ki sab zaKHm bhula Dale hain jis ne
ek gham ki jo ta-umr bhulane ke liye hai

ek ruh ki sona hai magar mail bhari bhi
ek aag isi mail ko dhone ke liye hai

aankhon mein abhi dhul si lamhon ki jami hai
dil mein koi sailab sa rone ke liye hai

dil ko to bahut pahle se dhaDka sa laga tha
pana tera shayad tujhe khone ke liye hai

kashti ka ye hachkola ye mallah ka chakkar
kashti ko nahin mujh ko Dubone ke liye hai

taqdir se laD sakta hai koi kahan 'haidar'
wo hadsa hona hai jo hone ke liye hai


Leave a comment

+