payambar maiñ nahīñ āshiq huuñ jaanī
rahe muusī hī se ye lan-tarānī
sulaimāñ ham haiñ ai mahbūb-e-jānī
samajhte haiñ tujhe bilqīs-e-sānī
khulā saude meñ un zulfoñ ke mar kar
pareshāñ ḳhvāb thī ye zindagānī
ye kyuuñ aatā hai un se qad-kushī ko
gaḌī jaatī hai sarv-e-bostānī
vahī degā kabāb-e-nargisī bhī
jo detā hai sharāb-e-arġhavānī
rañgā hai ishq ne kis dard-e-sar se
hamārā jāma-e-tan za.afrānī
musāfir kī tarah rah ḳhāna-bar-dosh
nahīñ jā.e-e-iqāmat dār-e-fānī
tire kūche ke mushtāqoñ ke aage
jahannam hai bahisht-e-āsmānī
vo mai-kash huuñ diyā hai qābla ne
jise ġhusl-e-sharāb-e-arġhavānī
yaqīñ hai dīda-e-bārīk-bīñ ko
kare ainak talab ye nā-tavānī
vo ḳhat hai yādgār-e-husn-e-rafta
vo sabza hai gulistāñ kī nishānī
nikaltī muñh se qāsid ke nahīñ baat
magar laayā hai paiġhām-e-zabānī
ye musht-e-ḳhāk ho maqbūl-e-dargāh
sabā kī chāhtā huuñ mehrbānī
liye haiñ bosa-e-ruḳhsāra-e-sāf
piyā hai ham ne ā.īne kā paanī
safedī mū kī ho kāfūr har-chand
koī miTtā hai ye dāġh-e-javānī
na ḳhush ho farbahī-e-tan se ġhāfil
subuk kartī hai murde ko girānī
mue jo peshtar marne se vo log
kafan samjhe qabā-e-zindagānī
jalātī hai dil 'ātish' tuur kī tarah
kisī parda-nashīñ kī lan-tarānī
payambar main nahin aashiq hun jaani
rahe musi hi se ye lan-tarani
sulaiman hum hain ai mahbub-e-jaani
samajhte hain tujhe bilqis-e-sani
khula saude mein un zulfon ke mar kar
pareshan KHwab thi ye zindagani
ye kyun aata hai un se qad-kushi ko
gaDi jati hai sarw-e-bostani
wahi dega kabab-e-nargisi bhi
jo deta hai sharab-e-arghawani
ranga hai ishq ne kis dard-e-sar se
hamara jama-e-tan zafrani
musafir ki tarah rah KHana-bar-dosh
nahin jae-e-iqamat dar-e-fani
tere kuche ke mushtaqon ke aage
jahannam hai bahisht-e-asmani
wo mai-kash hun diya hai qabla ne
jise ghusl-e-sharab-e-arghawani
yaqin hai dida-e-barik-bin ko
kare ainak talab ye na-tawani
wo KHat hai yaadgar-e-husn-e-rafta
wo sabza hai gulistan ki nishani
nikalti munh se qasid ke nahin baat
magar laya hai paigham-e-zabani
ye musht-e-KHak ho maqbul-e-dargah
saba ki chahta hun mehrbani
liye hain bosa-e-ruKHsara-e-saf
piya hai hum ne aaine ka pani
safedi mu ki ho kafur har-chand
koi miTta hai ye dagh-e-jawani
na KHush ho farbahi-e-tan se ghafil
subuk karti hai murde ko girani
mue jo peshtar marne se wo log
kafan samjhe qaba-e-zindagani
jalati hai dil 'atish' tur ki tarah
kisi parda-nashin ki lan-tarani
Source: Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish
Leave a comment