kaun se dil meñ mohabbat nahīñ jaanī terī
jis ko suntā huuñ vo kahtā hai kahānī terī
kuchh dahan hī nahīñ vahm-e-sho.arā ke nazdīk
mū se bārīk kamar bhī hai gumānī terī
jis ke aage se guzartā hai vo kahtā hai yahī
dekhī ai rūh-e-ravāñ ham ne ravānī terī
shīsha-e-mai se koī merī zabānī kah de
ḳhush nahīñ aatī hai ye pamba-e-dahānī terī
kyā tirī shaan hai qurbān hoñ ai afv-e-karīm
aas rakhtā hai har ik fāsiq o zaanī terī
is ḳharābī meñ tire vāste phirte haiñ ḳharāb
justujū ham ko hai ai kunj-e-nihānī terī
ain ehsāñ hai mire saf.ha-e-dil par mujh ko
ek tasvīr agar khīñch de 'mānī' terī
sub.h tak shaam se kartī hai zabāñ zikr-e-jamāl
niiñd aatī hai kise sun ke kahānī terī
misl-e-gul hañs ke kisī roz tū dil ko ḳhush kar
ḳhuuñ rulātī hai hameñ ġhuncha-dahānī terī
nāz-o-andāz-o-adā meñ hai taraqqī dah-chand
fitna tiflī thī qayāmat hai javānī terī
kaun se ġhalla kā daana tū ai dāna-e-ḳhāl
ham ne arzānī meñ bhī paa.ī girānī terī
garm-joshī se jalāyā kare kashf o ḳhirman
barq ho saktī nahīñ shoḳhī meñ saanī terī
jaan kī tarah se rakhtā hai aziiz ai gul-rū
dāġh-e-dil laala ne samjhā hai nishānī terī
misra.a-e-teġh hai har misra.a-e-mauzūñ 'ātish'
dekh lī yaar mirī saif-zabānī terī
kaun se dil mein mohabbat nahin jaani teri
jis ko sunta hun wo kahta hai kahani teri
kuchh dahan hi nahin wahm-e-shoara ke nazdik
mu se barik kamar bhi hai gumani teri
jis ke aage se guzarta hai wo kahta hai yahi
dekhi ai ruh-e-rawan hum ne rawani teri
shisha-e-mai se koi meri zabani kah de
KHush nahin aati hai ye pamba-e-dahani teri
kya teri shan hai qurban hon ai afw-e-karim
aas rakhta hai har ek fasiq o zani teri
is KHarabi mein tere waste phirte hain KHarab
justuju hum ko hai ai kunj-e-nihani teri
ain ehsan hai mere safha-e-dil par mujh ko
ek taswir agar khinch de 'mani' teri
subh tak sham se karti hai zaban zikr-e-jamal
nind aati hai kise sun ke kahani teri
misl-e-gul hans ke kisi roz tu dil ko KHush kar
KHun rulati hai hamein ghuncha-dahani teri
naz-o-andaz-o-ada mein hai taraqqi dah-chand
fitna tifli thi qayamat hai jawani teri
kaun se ghalla ka dana tu ai dana-e-KHal
hum ne arzani mein bhi pai girani teri
garm-joshi se jalaya kare kashf o KHirman
barq ho sakti nahin shoKHi mein sani teri
jaan ki tarah se rakhta hai aziz ai gul-ru
dagh-e-dil lala ne samjha hai nishani teri
misra-e-tegh hai har misra-e-mauzun 'atish'
dekh li yar meri saif-zabani teri
Source: Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish
Leave a comment