balā-e-jāñ mujhe har ek ḳhush-jamāl huā
chhurī jo tez huī pahle maiñ halāl huā
girau huā to use chhūTnā muhāl huā
dil-e-ġharīb mirā muflisoñ kā maal huā
kamī nahīñ tirī dargāh meñ kisī shai kī
vahī milā hai jo muhtāj kā savāl huā
dikhā ke chehra-e-raushan vo kahte haiñ sar-e-shām
vo āftāb nahīñ hai jise zavāl huā
dukhā na dil ko sanam ittihād rakhtā huuñ
mujhe malāl huā to tujhe malāl huā
bujhāyā āñkhoñ ne vo ruḳh talāsh-e-mazmūñ meñ
ḳhayāl-e-yār mirā sher kā ḳhayāl huā
tire shahīd ke jeb-e-kafan meñ ai qātil
gulāl se bhī hai rañg-e-abīr laal huā
buland ḳhāk-nashīnī ne qadr kī merī
uruuj mujh ko huā jab ki pā.emāl huā
ġhazab meñ yaar ke shān-e-karam nazar aa.ī
banāyā sarv-e-charāġhāñ jise nihāl huā
yaqīñ hai dekhte suufī to dam nikal jaatā
hamāre vajd ke aalam meñ hai jo haal huā
vo nā-tavāñ thā irāda kiyā jo khāne kā
ġham-e-firāq ke dāñtoñ meñ maiñ ḳhilāl huā
kiyā hai zaar ye terī kamar ke saude ne
paḌā jo aks mirā ā.īne meñ baal huā
dikhānī thī na tumheñ chashm-e-surmagīñ apnī
nigāh-e-nāz se vahshat-zada ġhazāl huā
dahān-e-yār ke bose kī dil ne raġhbat kī
ḳhayāl-e-ḳhām kiyā tālib-e-muhāl huā
rahā bahār-o-ḳhizāñ meñ ye haal saude kā
baḌhā to zulf huā ghaT gayā to ḳhaal huā
junūñ meñ ālam-e-tiflī kī bādshāhat kī
khilaunā āñkhoñ meñ apnī har ik ġhazāl huā
sunā jamīl bhī terā jo naam ai mahbūb
hazār jaan se dil banda-e-jamāl huā
likhā hai āshiqoñ meñ apne tū ne jis kā naam
phir us kā chehra nahīñ umr bhar bahāl huā
gunah kisī ne kiyā thartharāyā dil apnā
araq araq hue ham jis ko infi.āl huā
tire dahān o kamar kā jo zikr aayā yaar
gumān-o-vahm ko kyā kyā na ehtimāl huā
kamāl kaun sā hai vo jise zavāl nahīñ
hazār shukr ki mujh ko na kuchh kamāl huā
tumhārī abrū-e-kaj kā thā duuj kā dhokā
siyāh hotā agar iid kā hilāl huā
diyā jo rañj tire ishq ne to rāhat thī
firāq-e-talḳh to shīrīñ mujhe visāl huā
vahī hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism 'ātish'
jab e'tidā-e-anāsir meñ iḳhtilāl huā
bala-e-jaan mujhe har ek KHush-jamal hua
chhuri jo tez hui pahle main halal hua
girau hua to use chhuTna muhaal hua
dil-e-gharib mera muflison ka mal hua
kami nahin teri dargah mein kisi shai ki
wahi mila hai jo muhtaj ka sawal hua
dikha ke chehra-e-raushan wo kahte hain sar-e-sham
wo aaftab nahin hai jise zawal hua
dukha na dil ko sanam ittihad rakhta hun
mujhe malal hua to tujhe malal hua
bujhaya aankhon ne wo ruKH talash-e-mazmun mein
KHayal-e-yar mera sher ka KHayal hua
tere shahid ke jeb-e-kafan mein ai qatil
gulal se bhi hai rang-e-abir lal hua
buland KHak-nashini ne qadr ki meri
uruj mujh ko hua jab ki paemal hua
ghazab mein yar ke shan-e-karam nazar aai
banaya sarw-e-charaghan jise nihaal hua
yaqin hai dekhte sufi to dam nikal jata
hamare wajd ke aalam mein hai jo haal hua
wo na-tawan tha irada kiya jo khane ka
gham-e-firaq ke danton mein main KHilal hua
kiya hai zar ye teri kamar ke saude ne
paDa jo aks mera aaine mein baal hua
dikhani thi na tumhein chashm-e-surmagin apni
nigah-e-naz se wahshat-zada ghazal hua
dahan-e-yar ke bose ki dil ne raghbat ki
KHayal-e-KHam kiya talib-e-muhaal hua
raha bahaar-o-KHizan mein ye haal saude ka
baDha to zulf hua ghaT gaya to KHal hua
junun mein aalam-e-tifli ki baadshahat ki
khilauna aankhon mein apni har ek ghazal hua
suna jamil bhi tera jo nam ai mahbub
hazar jaan se dil banda-e-jamal hua
likha hai aashiqon mein apne tu ne jis ka nam
phir us ka chehra nahin umr bhar bahaal hua
gunah kisi ne kiya thartharaya dil apna
araq araq hue hum jis ko infial hua
tere dahan o kamar ka jo zikr aaya yar
guman-o-wahm ko kya kya na ehtimal hua
kamal kaun sa hai wo jise zawal nahin
hazar shukr ki mujh ko na kuchh kamal hua
tumhaari abru-e-kaj ka tha duj ka dhoka
siyah hota agar id ka hilal hua
diya jo ranj tere ishq ne to rahat thi
firaq-e-talKH to shirin mujhe visal hua
wahi hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism 'atish'
jab e'tida-e-anasir mein iKHtilal hua
Source: Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish
Leave a comment