Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafiz Taib

  • Ghazal


sharar-afshan wo sharar-KHu bhi nahin


sharar-afshāñ vo sharar-ḳhū bhī nahīñ
koī taarā koī jugnū bhī nahīñ

jaane tai manzil-e-shab ho kaise
duur tak nuur kī ḳhushbū bhī nahīñ

ham sā be-māya koī kyā hogā
apnī āñkhoñ meñ to aañsū bhī nahīñ

jis bayābāñ meñ junūñ laayā hai
us meñ to yaad ke aahū bhī nahīñ

jaane is zid kā natīja kyā ho
māntā dil bhī nahīñ tū bhī nahīñ

sharar-afshan wo sharar-KHu bhi nahin
koi tara koi jugnu bhi nahin

jaane tai manzil-e-shab ho kaise
dur tak nur ki KHushbu bhi nahin

hum sa be-maya koi kya hoga
apni aankhon mein to aansu bhi nahin

jis bayaban mein junun laya hai
us mein to yaad ke aahu bhi nahin

jaane is zid ka natija kya ho
manta dil bhi nahin tu bhi nahin


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+