vo hue aise mehrbāñ mujh par
baar hone lagā jahāñ mujh par
kitnī shaffāf zindagānī thī
ab to chhāne lagā dhuāñ mujh par
us ne aa kar na kuchh safā.ī dī
qisse hote rahe bayāñ mujh par
gul ke mānind ye sarāpā thā
jaane kab aa ga.ī ḳhizāñ mujh par
mere dam se chaman meñ rañgat thī
rashk kartī thiiñ titliyāñ mujh par
maiñ jahāñ se chalī bhī jā.ūñ to
kyā karegā koī fuġhāñ mujh par
jab bhī us ne sunī na baat mirī
kitnī bāteñ huiiñ ayaañ mujh par
ab to 'nik.hat' nahīñ hai phūloñ meñ
phir bhī uThtī haiñ uñgliyāñ mujh par
wo hue aise mehrban mujh par
bar hone laga jahan mujh par
kitni shaffaf zindagani thi
ab to chhane laga dhuan mujh par
us ne aa kar na kuchh safai di
qisse hote rahe bayan mujh par
gul ke manind ye sarapa tha
jaane kab aa gai KHizan mujh par
mere dam se chaman mein rangat thi
rashk karti thin titliyan mujh par
main jahan se chali bhi jaun to
kya karega koi fughan mujh par
jab bhi us ne suni na baat meri
kitni baaten huin ayan mujh par
ab to 'nikhat' nahin hai phulon mein
phir bhi uThti hain ungliyan mujh par
Leave a comment