Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


be-irada kucha-e-qatil mein jaana paD gaya


be-irāda kūcha-e-qātil meñ jaanā paḌ gayā
phir hameñ apnā muqaddar āzmānā paḌ gayā

kyā karoge jab kabhī shahr-e-tamannā meñ tumheñ
ham se be-ābād logoñ ko basānā paḌ gayā

apne bigḌe ḳhāl-o-ḳhad ko aa.ine meñ dekh kar
aa.ina ik ā.ina-gar ko dikhānā paḌ gayā

dekh kar us kā ravayya ḳhud bujhāyā thā jise
vo charāġh-e-ārzū phir se jalānā paḌ gayā

hiddat-e-jazbāt se jalne lagā thā tan-badan
phir thapak kar in sharāroñ ko sulānā paḌ gayā

kyā kaheñ ham mausamoñ ke devtā ko kis liye
dasht-o-sahrā meñ bagūloñ ko sajānā paḌ gayā

dekhnā ahl-e-chaman 'shāhid' bulā.eñge hameñ
jab chaman ko bād-e-sar-sar se bachānā paḌ gayā

be-irada kucha-e-qatil mein jaana paD gaya
phir hamein apna muqaddar aazmana paD gaya

kya karoge jab kabhi shahr-e-tamanna mein tumhein
hum se be-abaad logon ko basana paD gaya

apne bigDe KHal-o-KHad ko aaine mein dekh kar
aaina ek aaina-gar ko dikhana paD gaya

dekh kar us ka rawayya KHud bujhaya tha jise
wo charagh-e-arzu phir se jalana paD gaya

hiddat-e-jazbaat se jalne laga tha tan-badan
phir thapak kar in shararon ko sulana paD gaya

kya kahen hum mausamon ke dewta ko kis liye
dasht-o-sahra mein bagulon ko sajaana paD gaya

dekhna ahl-e-chaman 'shahid' bulaenge hamein
jab chaman ko baad-e-sar-sar se bachana paD gaya


Leave a comment

+