Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


ye rang tere shahr ke sahra mein kahan hain


ye rañg tire shahr ke sahrā meñ kahāñ haiñ
galiyāñ haiñ na kūche haiñ makīñ haiñ na makāñ haiñ

āñkhoñ meñ chhupā rakkhe haiñ ashkoñ ke ḳhazīne
ham ġham kī ināyāt se mahrūm kahāñ haiñ

jhalkeñge kisī roz yahī lafz-o-bayāñ meñ
ā.īna-e-ehsās meñ jo aks nihāñ haiñ

rakhte haiñ jo muḳhtārī-e-insāñ kī tamannā
majbūrī-e-insāñ pe abhī ashk-fishāñ haiñ

āñkhoñ meñ koī mauj-e-shafaq-rañg nahīñ kyoñ
dil meñ to abhī ḳhuun ke dariyā se ravāñ haiñ

taḳhlīq-e-musavvir ko zarā ġhaur se dekho
rañgoñ ke tanāsub meñ ka.ī rañg nihāñ haiñ

kyā kaam hameñ māl-o-zar-o-sīm se 'shāhid'
ham ahl-e-suḳhan ahl-e-qalam ahl-e-zabāñ haiñ

ye rang tere shahr ke sahra mein kahan hain
galiyan hain na kuche hain makin hain na makan hain

aankhon mein chhupa rakkhe hain ashkon ke KHazine
hum gham ki inayat se mahrum kahan hain

jhalkenge kisi roz yahi lafz-o-bayan mein
aaina-e-ehsas mein jo aks nihan hain

rakhte hain jo muKHtari-e-insan ki tamanna
majburi-e-insan pe abhi ashk-fishan hain

aankhon mein koi mauj-e-shafaq-rang nahin kyon
dil mein to abhi KHun ke dariya se rawan hain

taKHliq-e-musawwir ko zara ghaur se dekho
rangon ke tanasub mein kai rang nihan hain

kya kaam hamein mal-o-zar-o-sim se 'shahid'
hum ahl-e-suKHan ahl-e-qalam ahl-e-zaban hain


Leave a comment

+