vo mujh meñ thā nihāñ maiñ dekhtā kyā
pas-e-dīvār-e-jāñ maiñ dekhtā kyā
kitāb-e-zindagī zer-e-nazar thī
hadīs-e-dil-barāñ maiñ dekhtā kyā
mujhe chalnā thā apne rāste par
niahān-e-raftgāñ maiñ dekhtā kyā
nazar meñ thā vo mahtāb-e-tamannā
jamāl-e-kahkashāñ maiñ dekhtā kyā
fanā kī zad pe thā bāzār-e-duniyā
yahāñ sūd-o-ziyāñ maiñ dekhtā kyā
mirī āñkheñ bharī thiiñ āñsuoñ se
sar-e-shahar-e-fuġhāñ maiñ dekhtā kyā
Thikānā thā mirā dasht-e-junūñ meñ
ḳhirad kī bastiyāñ maiñ dekhtā kyā
mirī majbūriyāñ bhī kam nahīñ thiiñ
tirī majbūriyāñ maiñ dekhtā kyā
use jab imtihāñ lenā nahīñ thā
nisāb-e-imtihāñ maiñ dekhtā kyā
mirī parvāz thī 'shāhid' falak par
zamīñ kī pastiyāñ maiñ dekhtā kyā
wo mujh mein tha nihan main dekhta kya
pas-e-diwar-e-jaan main dekhta kya
kitab-e-zindagi zer-e-nazar thi
hadis-e-dil-baran main dekhta kya
mujhe chalna tha apne raste par
niahan-e-raftgan main dekhta kya
nazar mein tha wo mahtab-e-tamanna
jamal-e-kahkashan main dekhta kya
fana ki zad pe tha bazar-e-duniya
yahan sud-o-ziyan main dekhta kya
meri aankhen bhari thin aansuon se
sar-e-shahar-e-fughan main dekhta kya
Thikana tha mera dasht-e-junun mein
KHirad ki bastiyan main dekhta kya
meri majburiyan bhi kam nahin thin
teri majburiyan main dekhta kya
use jab imtihan lena nahin tha
nisab-e-imtihan main dekhta kya
meri parwaz thi 'shahid' falak par
zamin ki pastiyan main dekhta kya
Leave a comment