Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


paDh raha hun nisab ho jaise


paḌh rahā huuñ nisāb ho jaise
us kā chehra kitāb ho jaise

yuuñ basar kar rahā huuñ duniyā meñ
zindagānī azaab ho jaise

shāḳh-e-qāmat pe vo hasīñ chehra
ek taaza gulāb ho jaise

yuuñ vo rahtā hai merī āñkhoñ meñ
merī āñkhoñ kā ḳhvāb ho jaise

vo mire baḳht ke ḳhazīne meñ
gauhar-e-lā-javāb ho jaise

us kī hastī kitāb-e-hastī kā
ik hasīñ intisāb ho jaise

zahr-ālām dil ke sāġhar meñ
ik purānī sharāb ho jaise

jhuuT ab bolte haiñ log aise
ye bhī kār-e-savāb ho jaise

reg-e-dasht-e-ḳhayāl meñ 'shāhid'
yaad us kī sarāb ho jaise

paDh raha hun nisab ho jaise
us ka chehra kitab ho jaise

yun basar kar raha hun duniya mein
zindagani azab ho jaise

shaKH-e-qamat pe wo hasin chehra
ek taza gulab ho jaise

yun wo rahta hai meri aankhon mein
meri aankhon ka KHwab ho jaise

wo mere baKHt ke KHazine mein
gauhar-e-la-jawab ho jaise

us ki hasti kitab-e-hasti ka
ek hasin intisab ho jaise

zahr-alam dil ke saghar mein
ek purani sharab ho jaise

jhuT ab bolte hain log aise
ye bhi kar-e-sawab ho jaise

reg-e-dasht-e-KHayal mein 'shahid'
yaad us ki sarab ho jaise


Leave a comment

+