Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


kisi ki yaad mein likkha hai jo kuchh


kisī kī yaad meñ likkhā hai jo kuchh
yahī kuchh hai mirā apnā hai jo kuchh

usī kā aks hai lafzoñ meñ mere
nazar ke sāmne duniyā hai jo kuchh

zarūrat-mand huuñ mujh ko atā kar
sakhī daatā mirā hissa hai jo kuchh

churā le jā.egī bād-e-sabā bhī
chhupā kar phuul ne rakkhā hai jo kuchh

muqaddar hai isī kā naam shāyad
mujhe vo be-talab detā hai jo kuchh

batā deñgī havā.eñ har kisī ko
lab-e-ashjār par qissa hai jo kuchh

mah-o-ḳhurshīd to kuchh bhī nahīñ haiñ
mirī miTTī kā ik zarra hai jo kuchh

kisī din vo bhī le jā.egā koī
sar-e-bāzār-e-jāñ saudā hai jo kuchh

kahāñ tak maiñ tajassus meñ rahūñgā
uThā do darmiyāñ parda hai jo kuchh

nahīñ sūjhā jo ab us kā abhī tak
kisī kī aañkh ne pūchhā hai jo kuchh

nahīñ kuchh aur paane kī tamannā
ġhanīmat hai yahāñ paayā hai jo kuchh

use tahrīr kartā jā rahā huuñ
mirī sochoñ kā afsāna hai jo kuchh

bhañvar hoñ yā ḳhas-o-ḳhāshāk 'shāhid'
hamārā hai sar-e-dariyā hai jo kuchh

kisi ki yaad mein likkha hai jo kuchh
yahi kuchh hai mera apna hai jo kuchh

usi ka aks hai lafzon mein mere
nazar ke samne duniya hai jo kuchh

zarurat-mand hun mujh ko ata kar
sakhi data mera hissa hai jo kuchh

chura le jaegi baad-e-saba bhi
chhupa kar phul ne rakkha hai jo kuchh

muqaddar hai isi ka nam shayad
mujhe wo be-talab deta hai jo kuchh

bata dengi hawaen har kisi ko
lab-e-ashjar par qissa hai jo kuchh

mah-o-KHurshid to kuchh bhi nahin hain
meri miTTi ka ek zarra hai jo kuchh

kisi din wo bhi le jaega koi
sar-e-bazar-e-jaan sauda hai jo kuchh

kahan tak main tajassus mein rahunga
uTha do darmiyan parda hai jo kuchh

nahin sujha jo ab us ka abhi tak
kisi ki aankh ne puchha hai jo kuchh

nahin kuchh aur pane ki tamanna
ghanimat hai yahan paya hai jo kuchh

use tahrir karta ja raha hun
meri sochon ka afsana hai jo kuchh

bhanwar hon ya KHas-o-KHashak 'shahid'
hamara hai sar-e-dariya hai jo kuchh


Leave a comment

+