Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Merathi

  • Ghazal


pi kar chain agar aaya bhi kitni der ko aaega


pī kar chain agar aayā bhī kitnī der ko aa.egā
nashsha ik āvāra panchhī chahkegā uḌ jā.egā

manzar kī takmīl na hogī tanhā mujh se fankāro
dukh ke giit to maiñ gā dūñgā aañsū kaun bahā.egā

ek saḳhī ko apnā samajh kar arz-e-hāl kī Thānī hai
bairī dil kahtā hai pagle kaasa bhī chhin jā.egā

merā samundar-pār safar par jaanā ek qayāmat hai
jaise har chehre pe likhā ho mere liye kyā lā.egā

jaate jaate pūchh rahā hai amn ke rakhvāloñ se 'hafīz'
kyuuñ jī kyā ham logoñ se meraTh ḳhālī ho jā.egā

pi kar chain agar aaya bhi kitni der ko aaega
nashsha ek aawara panchhi chahkega uD jaega

manzar ki takmil na hogi tanha mujh se fankaro
dukh ke git to main ga dunga aansu kaun bahaega

ek saKHi ko apna samajh kar arz-e-haal ki Thani hai
bairi dil kahta hai pagle kasa bhi chhin jaega

mera samundar-par safar par jaana ek qayamat hai
jaise har chehre pe likha ho mere liye kya laega

jate jate puchh raha hai amn ke rakhwalon se 'hafiz'
kyun ji kya hum logon se meraTh KHali ho jaega


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+