Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Merathi

  • Ghazal


kaun kahta hai ki mahrumi ka shikwa na karo


kaun kahtā hai ki mahrūmī kā shikva na karo
haañ magar sāqi-e-mai-ḳhāna ko rusvā na karo

zikr chhiḌ jaa.e agar qaum kī bad-baḳhtī kā
rahnumāoñ kī taraf koī ishāra na karo

zehn sanjīda masā.il se haTāne ke liye
roz ye shaiḳh o barhaman kā tamāshā na karo

ek bhī lafz haTāne kī nahīñ gunjā.ish
mere paiġhām-e-mohabbat kā ḳhulāsa na karo

ye ta.alluq kī ḳharāsheñ bhī mazā detī haiñ
ruuTh jaa.e koī tum se to manāyā na karo

aaj bhī maiñ nahīñ insāñ se māyūs ki jab
log kahte haiñ ḳhudā par bhī bharosā na karo

kaun kahta hai ki mahrumi ka shikwa na karo
han magar saqi-e-mai-KHana ko ruswa na karo

zikr chhiD jae agar qaum ki bad-baKHti ka
rahnumaon ki taraf koi ishaara na karo

zehn sanjida masail se haTane ke liye
roz ye shaiKH o barhaman ka tamasha na karo

ek bhi lafz haTane ki nahin gunjaish
mere paigham-e-mohabbat ka KHulasa na karo

ye talluq ki KHarashen bhi maza deti hain
ruTh jae koi tum se to manaya na karo

aaj bhi main nahin insan se mayus ki jab
log kahte hain KHuda par bhi bharosa na karo


Leave a comment

+