phuul nahīñ to kāñTā de
mujh ko koī tohfa de
shabnam maañg rahe haiñ gul
apnī āñkheñ chhalkā de
patthar kaaT ke kiiḌe ko
pālne vaalā daana de
dhuup meñ jaltā hai din bhar
sūraj ko ik chashma de
'hāfiz' vaqt agar chāhe
hātim ko bhī kaasa de
phul nahin to kanTa de
mujh ko koi tohfa de
shabnam mang rahe hain gul
apni aankhen chhalka de
patthar kaT ke kiDe ko
palne wala dana de
dhup mein jalta hai din bhar
suraj ko ek chashma de
'hafiz' waqt agar chahe
hatim ko bhi kasa de
Source:
Leave a comment