Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


shikwa karte hain zaban se na gila karte hain


shikva karte haiñ zabāñ se na gilā karte haiñ
tum salāmat raho ham to ye duā karte haiñ

phir mire dil ke phañsāne kī huī hai tadbīr
phir na.e sar se vo paimān-e-vafā karte haiñ

tum mujhe haath uThā kar is adā se koso
dekhne vaale ye samjheñ ki duā karte haiñ

in hasīnoñ kā hai duniyā se nirālā andāz
shoḳhiyāñ bazm meñ ḳhalvat meñ hayā karte haiñ

hashr kā zikr na kar us kī galī meñ vaa.iz
aise hañgāme yahāñ roz huā karte haiñ

laag hai ham se adū ko to adū se hameñ rashk
ek hī aag meñ ham donoñ jalā karte haiñ

un kā shikva na raqīboñ kī shikāyat hai 'hafīz'
sirf ham apne muqaddar kā gilā karte haiñ

shikwa karte hain zaban se na gila karte hain
tum salamat raho hum to ye dua karte hain

phir mere dil ke phansane ki hui hai tadbir
phir nae sar se wo paiman-e-wafa karte hain

tum mujhe hath uTha kar is ada se koso
dekhne wale ye samjhen ki dua karte hain

in hasinon ka hai duniya se nirala andaz
shoKHiyan bazm mein KHalwat mein haya karte hain

hashr ka zikr na kar us ki gali mein waiz
aise hangame yahan roz hua karte hain

lag hai hum se adu ko to adu se hamein rashk
ek hi aag mein hum donon jala karte hain

un ka shikwa na raqibon ki shikayat hai 'hafiz'
sirf hum apne muqaddar ka gila karte hain


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-144 Page Number-148) Author : Tufail Ahmad Ansari Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+