Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


sath rahte itni muddat ho gai


saath rahte itnī muddat ho ga.ī
dard ko dil se mohabbat ho ga.ī

kyā javānī jald ruḳhsat ho ga.ī
ik chhalāvā thī ki champat ho ga.ī

dil kī gāhak achchhī sūrat ho ga.ī
aañkh milte hī mohabbat ho ga.ī

fātiha paḌhne vo aa.e aaj kyā
Thokaroñ kī nazr turbat ho ga.ī

laakh bīmārī hai ik parhez-e-mai
jaan jokhoñ tark-e-ādat ho ga.ī

tafraqa Daalā falak ne bār-hā
do diloñ meñ jab mohabbat ho ga.ī

vo gila sun kar hue yuuñ munfa.il
aa.ed apne sar shikāyat ho ga.ī

dostī kyā us talavvun-tabā kī
chaar din sāhab salāmat ho ga.ī

vaah re aalam kamāl-e-ishq kā
merī un kī ek sūrat ho ga.ī

un ke jaate hī huī kaayā palaT
ḳham masarrat yaas hasrat ho ga.ī

pī ke yuuñ tum kab bahakte the 'hafīz'
raat kyā be-lutf sohbat ho ga.ī

sath rahte itni muddat ho gai
dard ko dil se mohabbat ho gai

kya jawani jald ruKHsat ho gai
ek chhalawa thi ki champat ho gai

dil ki gahak achchhi surat ho gai
aankh milte hi mohabbat ho gai

fatiha paDhne wo aae aaj kya
Thokaron ki nazr turbat ho gai

lakh bimari hai ek parhez-e-mai
jaan jokhon tark-e-adat ho gai

tafraqa Dala falak ne bar-ha
do dilon mein jab mohabbat ho gai

wo gila sun kar hue yun munfail
aaed apne sar shikayat ho gai

dosti kya us talawwun-taba ki
chaar din sahab salamat ho gai

wah re aalam kamal-e-ishq ka
meri un ki ek surat ho gai

un ke jate hi hui kaya palaT
KHam masarrat yas hasrat ho gai

pi ke yun tum kab bahakte the 'hafiz'
raat kya be-lutf sohbat ho gai

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 sath rahte itni muddat ho gai Nomaan Shauque

Leave a comment

+