apnī hastī meñ simaTtī jā rahī huuñ
saarī duniyā se maiñ kaTtī jā rahī huuñ
ret par likkhe hue ik naam jaisī
maiñ havā ke saath miTtī jā rahī huuñ
dekh kar fauj-e-raqībāñ gāmzan meñ
rāste se ḳhud hī haTtī jā rahī huuñ
ziist kā thī maiñ mukammal ik fasāna
kis liye qistoñ meñ baTtī jā rahī huuñ
apni hasti mein simaTti ja rahi hun
sari duniya se main kaTti ja rahi hun
ret par likkhe hue ek nam jaisi
main hawa ke sath miTti ja rahi hun
dekh kar fauj-e-raqiban gamzan mein
raste se KHud hi haTti ja rahi hun
zist ka thi main mukammal ek fasana
kis liye qiston mein baTti ja rahi hun
Leave a comment