Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


junun ke josh mein phirte hain mare mare ab


junūñ ke josh meñ phirte haiñ maare maare ab
ajal lagā de kahīñ gor ke kināre ab

gayā jo haath se vo vaqt phir nahīñ aatā
kahāñ umiid ki phir din phireñ hamāre ab

ajab nahīñ hai ki phir aaj ham sahar dekheñ
ki āsmān pe gintī ke haiñ sitāre ab

jab us ke haath meñ dil hai mirī balā jaane
mile vo paañv se yā apne sar se vaare ab

ināyatoñ kī vo bāteñ na vo karam kī nigāh
badal ga.e haiñ kuchh andāz ab tumhāre ab

ye Dar hai ho na sar-e-rahguzār hañgāma
samajh ke kījiye darbāñ se kuchh ishāre ab

'hafīz' sochiye is baat meñ haiñ do pahlū
kahā hai us ne ki ab ho chuke tumhāre ab

junun ke josh mein phirte hain mare mare ab
ajal laga de kahin gor ke kinare ab

gaya jo hath se wo waqt phir nahin aata
kahan umid ki phir din phiren hamare ab

ajab nahin hai ki phir aaj hum sahar dekhen
ki aasman pe ginti ke hain sitare ab

jab us ke hath mein dil hai meri bala jaane
mile wo panw se ya apne sar se ware ab

inayaton ki wo baaten na wo karam ki nigah
badal gae hain kuchh andaz ab tumhaare ab

ye Dar hai ho na sar-e-rahguzar hangama
samajh ke kijiye darban se kuchh ishaare ab

'hafiz' sochiye is baat mein hain do pahlu
kaha hai us ne ki ab ho chuke tumhaare ab

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 junun ke josh mein phirte hain mare mare ab Nomaan Shauque

Leave a comment

+