Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


usko aazadi na milne ka hamein maqdur hai


us ko āzādī na milne kā hameñ maqdūr hai
ham idhar majbūr haiñ aur vo idhar majbūr hai

shab ko chhup kar aa.iye aanā agar manzūr hai
aap ke ghar se hamārā ghar hī kitnī duur hai

laakh minnat kī magar ik baat bhī muñh se na kī
aap kī tasvīr bhī kitnī baḌī maġhrūr hai

is añdherī raat meñ ai shaiḳh pahchānegā kaun
band hai masjid kā dar to mai-kada kyā duur hai

ek rashk-e-ġhair kā sadma to uTh saktā nahīñ
aur jo farmā.iye sab kuchh hameñ manzūr hai

mar gayā dushman to us kā sog tum ko kyā zarūr
kaun sī ye rasm hai ye kaun sā dastūr hai

zāhid is ummīd par milnā hasīnoñ se na chhoḌ
ḳhuld meñ nādān tere hī liye kyā huur hai

hashr ke din kyā kaheñge ye agar aayā ḳhayāl
shikva karnā yaar kā pās-e-vafā se duur hai

kuchh 'hafīz' aisā nahīñ jis se ki tum vāqif na ho
aadmī vo to bahut mārūf hai mash.hūr hai

us ko aazadi na milne ka hamein maqdur hai
hum idhar majbur hain aur wo idhar majbur hai

shab ko chhup kar aaiye aana agar manzur hai
aap ke ghar se hamara ghar hi kitni dur hai

lakh minnat ki magar ek baat bhi munh se na ki
aap ki taswir bhi kitni baDi maghrur hai

is andheri raat mein ai shaiKH pahchanega kaun
band hai masjid ka dar to mai-kada kya dur hai

ek rashk-e-ghair ka sadma to uTh sakta nahin
aur jo farmaiye sab kuchh hamein manzur hai

mar gaya dushman to us ka sog tum ko kya zarur
kaun si ye rasm hai ye kaun sa dastur hai

zahid is ummid par milna hasinon se na chhoD
KHuld mein nadan tere hi liye kya hur hai

hashr ke din kya kahenge ye agar aaya KHayal
shikwa karna yar ka pas-e-wafa se dur hai

kuchh 'hafiz' aisa nahin jis se ki tum waqif na ho
aadmi wo to bahut maruf hai mashhur hai


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-237 Page Number-207) Author : Tufail Ahmad Ansari Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+