Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


sun ke mere ishq ki rudad ko


sun ke mere ishq kī rūdād ko
log bhūle qais ko farhād ko

ai nigāh-e-yās ho terā burā
tū ne taḌpā hī diyā jallād ko

baad mere uTh ga.ī qadr-e-sitam
ab taraste haiñ hasīñ bedād ko

ik zarā jhūTī tasallī hī sahī
kuchh to samjhā do dil-e-nāshād ko

haa.e ye dard-e-jigar kis se kahūñ
kaun suntā hai mirī fariyād ko

jā.eñge duniyā se sab kuchh chhoḌ kar
haañ magar le kar kisī kī yaad ko

ab mujhe māneñ na māneñ ai 'hafīz'
mānte haiñ sab mire ustād ko

sun ke mere ishq ki rudad ko
log bhule qais ko farhad ko

ai nigah-e-yas ho tera bura
tu ne taDpa hi diya jallad ko

baad mere uTh gai qadr-e-sitam
ab taraste hain hasin bedad ko

ek zara jhuTi tasalli hi sahi
kuchh to samjha do dil-e-nashad ko

hae ye dard-e-jigar kis se kahun
kaun sunta hai meri fariyaad ko

jaenge duniya se sab kuchh chhoD kar
han magar le kar kisi ki yaad ko

ab mujhe manen na manen ai 'hafiz'
mante hain sab mere ustad ko

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 sun ke mere ishq ki rudad ko Nomaan Shauque

Leave a comment

+