mujh pe to gire ḳhanjar tum lahū lahū kyoñ ho
zaḳhmī mere bāl-o-par tum lahū lahū kyuuñ ho
tum ko to mile tamġhe zohd-o-pārsā.ī ke
sañg to paḌe mujh par tum lahū lahū kyoñ ho
dil ke chaak maiñ apne ek bhī na sil paa.ī
haiñ tumhāre chārāgar tum lahū lahū kyuuñ ho
tum ko to milā rutba sar ke taaj hone kā
zer-e-pā hai merā sar tum lahū lahū kyoñ ho
yuuñ to mutma.in huuñ maiñ be-vafā tumheñ phir bhī
sochtī huuñ ye aksar tum lahū lahū lahū kyuuñ ho
rañg gul sabā 'nik.hat' sab tumhāre hisse meñ
ḳhaar haiñ mirā zevar tum lahū lahū kyoñ ho
mujh pe to gire KHanjar tum lahu lahu kyon ho
zaKHmi mere baal-o-par tum lahu lahu kyun ho
tum ko to mile tamghe zohd-o-parsai ke
sang to paDe mujh par tum lahu lahu kyon ho
dil ke chaak main apne ek bhi na sil pai
hain tumhaare chaaragar tum lahu lahu kyun ho
tum ko to mila rutba sar ke taj hone ka
zer-e-pa hai mera sar tum lahu lahu kyon ho
yun to mutmain hun main be-wafa tumhein phir bhi
sochti hun ye aksar tum lahu lahu lahu kyun ho
rang gul saba 'nikhat' sab tumhaare hisse mein
KHar hain mera zewar tum lahu lahu kyon ho
Leave a comment