Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


dil mein hain wasl ke arman bahut


dil meñ haiñ vasl ke armān bahut
jam.a is ghar meñ haiñ mehmān bahut

aa.e to dast-e-junūñ zoroñ par
chaak karne ko garebān bahut

merī jānib se dil us kā na phirā
dushmanoñ ne to bhare kaan bahut

le ke ik dil ġham-e-kaunain diyā
aap ke mujh pe haiñ ehsān bahut

tark-e-ulfat kā hamīñ ko hai ġham
vo bhī haiñ dil meñ pashemān bahut

dil ke vīrāne kā hai aalam kuchh aur
ham ne dekhe haiñ bayābān bahut

ḳhaak hone ko hazāroñ hasrat
ḳhuun hone ko haiñ armān bahut

sadma-e-hijr uThānā mushkil
jaan denā to hai āsān bahut

rashk jin par hai farishtoñ ko 'hafīz'
aise duniyā meñ haiñ insān bahut

dil mein hain wasl ke arman bahut
jama is ghar mein hain mehman bahut

aae to dast-e-junun zoron par
chaak karne ko gareban bahut

meri jaanib se dil us ka na phira
dushmanon ne to bhare kan bahut

le ke ek dil gham-e-kaunain diya
aap ke mujh pe hain ehsan bahut

tark-e-ulfat ka hamin ko hai gham
wo bhi hain dil mein pasheman bahut

dil ke virane ka hai aalam kuchh aur
hum ne dekhe hain bayaban bahut

KHak hone ko hazaron hasrat
KHun hone ko hain arman bahut

sadma-e-hijr uThana mushkil
jaan dena to hai aasan bahut

rashk jin par hai farishton ko 'hafiz'
aise duniya mein hain insan bahut


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-66 Page Number-107) Author : Tufail Ahmad Ansari Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+