Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


hum ko dikha dikha ke ghairon ke itr malna


ham ko dikhā dikhā ke ġhairoñ ke itr malnā
aatā hai ḳhuub tum ko chhātī pe muuñg dalnā

mahshar bapā kiyā hai raftār ne tumhārī
is chaal ke tasadduq ye bhī hai koī chalnā

ġhairoñ ke ghar to shab ko jaate ho bārhā tum
bhūle se mere ghar bhī ik roz aa nikalnā

haT kī kuchh intihā hai zid kī bhī koī had hai
ye baat baat par to achchhā nahīñ machalnā

jaltā hai ġhair ham se to kyā ḳhatā hamārī
tum ye samajh lo us kī taqdīr meñ hai jalnā

jab tak haiñ tere dar par dil-bastagī sī hai kuchh
ye āstāñ jo chhūTā mushkil hai jī bahalnā

dekho 'hafīz' apne jī kī jo ḳhair chāho
baste jidhar hasīñ hoñ vo rāsta na chalnā

hum ko dikha dikha ke ghairon ke itr malna
aata hai KHub tum ko chhati pe mung dalna

mahshar bapa kiya hai raftar ne tumhaari
is chaal ke tasadduq ye bhi hai koi chalna

ghairon ke ghar to shab ko jate ho barha tum
bhule se mere ghar bhi ek roz aa nikalna

haT ki kuchh intiha hai zid ki bhi koi had hai
ye baat baat par to achchha nahin machalna

jalta hai ghair hum se to kya KHata hamari
tum ye samajh lo us ki taqdir mein hai jalna

jab tak hain tere dar par dil-bastagi si hai kuchh
ye aastan jo chhuTa mushkil hai ji bahalna

dekho 'hafiz' apne ji ki jo KHair chaho
baste jidhar hasin hon wo rasta na chalna


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-15 Page Number-80) Author : Tufail Ahmad Ansari Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+