haa.e ab kaun lagī dil kī bujhāne aa.e
jin se ummīd thī aur aag lagāne aa.e
dard-mandoñ kī yuuñ hī karte haiñ hamdardī log
ḳhuub hañs hañs ke hameñ aap rulāne aa.e
ḳhat meñ likhte haiñ ki fursat nahīñ aane kī hameñ
is kā matlab to ye hai koī manāne aa.e
aañkh nīchī na huī bazm-e-adū meñ jā kar
ye DhiTā.ī ki nazar ham se milāne aa.e
ta.ane be-sabr yuuñ ke haa.e tashaffī ke evaz
aur dikhte hue dil ko vo dukhāne aa.e
aur to sab ke liye hai terī mahfil meñ jagah
ham jo baiTheñ abhī darbān uThāne aa.e
chuTkiyāñ lene ko pahlū meñ rahā ek na ek
tū nahīñ to tere armān satāne aa.e
bekasī kā to jalā dil mirī turbat pe 'hafīz'
kyā huā vo na agar sham.a jalāne aa.e
hae ab kaun lagi dil ki bujhane aae
jin se ummid thi aur aag lagane aae
dard-mandon ki yun hi karte hain hamdardi log
KHub hans hans ke hamein aap rulane aae
KHat mein likhte hain ki fursat nahin aane ki hamein
is ka matlab to ye hai koi manane aae
aankh nichi na hui bazm-e-adu mein ja kar
ye DhiTai ki nazar hum se milane aae
tane be-sabr yun ke hae tashaffi ke ewaz
aur dikhte hue dil ko wo dukhane aae
aur to sab ke liye hai teri mahfil mein jagah
hum jo baiThen abhi darban uThane aae
chuTkiyan lene ko pahlu mein raha ek na ek
tu nahin to tere arman satane aae
bekasi ka to jala dil meri turbat pe 'hafiz'
kya hua wo na agar shama jalane aae
Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-250 Page Number-215) Author : Tufail Ahmad Ansari Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010) Edition : 2010
Leave a comment