Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


ishq mein chheD hui dida-e-tar se pahle


ishq meñ chheḌ huī dīda-e-tar se pahle
ġham ke bādal jo uThe to yahīñ par se pahle

ab jahannam meñ liye jaatī hai dil kī garmī
aag chamkī thī ye allāh ke ghar se pahle

haath rakh rakh ke vo siine pe kisī kā kahnā
dil se dard uThtā hai pahle ki jigar se pahle

dil ko ab aañkh kī manzil meñ biThā rakkheñge
ishq guzregā isī rāhguzar se pahle

vo har vaade se inkār ba-tarz-e-iqrār
vo har ik baat pe haañ lfaz-e-magar se pahle

mere qisse pe vahī raushnī Daale shāyad
sham-e-kam-māya jo bujhtī hai sahar se pahle

chāk-e-dāmāni-e-gul kā hai gila kyā bulbul
ki ulajhtā hai ye ḳhud bād-e-sahar se pahle

kuchh samajhdār to haiñ naash uThāne vaale
le chale haiñ mujhe is rāhguzar se pahle

dil nahīñ hārte yuuñ bāzi-e-ulfat meñ 'hafīz'
khel āġhāz huā kartā hai sar se pahle

ishq mein chheD hui dida-e-tar se pahle
gham ke baadal jo uThe to yahin par se pahle

ab jahannam mein liye jati hai dil ki garmi
aag chamki thi ye allah ke ghar se pahle

hath rakh rakh ke wo sine pe kisi ka kahna
dil se dard uThta hai pahle ki jigar se pahle

dil ko ab aankh ki manzil mein biTha rakkhenge
ishq guzrega isi rahguzar se pahle

wo har wade se inkar ba-tarz-e-iqrar
wo har ek baat pe han lfaz-e-magar se pahle

mere qisse pe wahi raushni Dale shayad
sham-e-kam-maya jo bujhti hai sahar se pahle

chaak-e-damani-e-gul ka hai gila kya bulbul
ki ulajhta hai ye KHud baad-e-sahar se pahle

kuchh samajhdar to hain nash uThane wale
le chale hain mujhe is rahguzar se pahle

dil nahin haarte yun bazi-e-ulfat mein 'hafiz'
khel aaghaz hua karta hai sar se pahle


Leave a comment

+