rañg badlā yaar ne vo pyaar kī bāteñ ga.iiñ
vo mulāqāteñ ga.iiñ vo chāñdnī rāteñ ga.iiñ
pī to letā huuñ magar piine kī vo bāteñ ga.iiñ
vo javānī vo siyah-mastī vo barsāteñ ga.iiñ
allāh allāh kah ke bas ik aah karnā rah gayā
vo namāzeñ vo duā.eñ vo munājāteñ ga.iiñ
hazrat-e-dil ab na.ī ulfat samajh kar soch kar
aglī bātoñ par na bhūleñ aap vo bāteñ ga.iiñ
rāh-o-rasm-e-dostī qaa.em to hai lekin 'hafīz'
ibtidā-e-shauq kī lambī mulāqāteñ ga.iiñ
rang badla yar ne wo pyar ki baaten gain
wo mulaqaten gain wo chandni raaten gain
pi to leta hun magar pine ki wo baaten gain
wo jawani wo siyah-masti wo barsaten gain
allah allah kah ke bas ek aah karna rah gaya
wo namazen wo duaen wo munajaten gain
hazrat-e-dil ab nai ulfat samajh kar soch kar
agli baaton par na bhulen aap wo baaten gain
rah-o-rasm-e-dosti qaem to hai lekin 'hafiz'
ibtida-e-shauq ki lambi mulaqaten gain
Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 146)
Leave a comment