koī to baat hogī tumhārī nigāh meñ
dil jo na rah sakā thā hamārī panāh meñ
tum se to yuuñ huā nahīñ sarzad koī qusūr
hogī koī kamī hī hamārī nibāh meñ
ham kyuuñ kareñ tumhārī vafā se koī gila
jab ḳhud hī kho ga.e the zamāne kī chaah meñ
tum ne diyā thā saath magar ham na chal sake
ham ko najāt kab milī kāñToñ se raah meñ
dariyā se pyaas bujh na sakegī ye soch kar
lahrā ke chal paḌe the samundar kī chaah meñ
koi to baat hogi tumhaari nigah mein
dil jo na rah saka tha hamari panah mein
tum se to yun hua nahin sarzad koi qusur
hogi koi kami hi hamari nibah mein
hum kyun karen tumhaari wafa se koi gila
jab KHud hi kho gae the zamane ki chah mein
tum ne diya tha sath magar hum na chal sake
hum ko najat kab mili kanTon se rah mein
dariya se pyas bujh na sakegi ye soch kar
lahra ke chal paDe the samundar ki chah mein
Leave a comment