Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


wo qafila aaram-talab ho bhi to kya ho


vo qāfila ārām-talab ho bhī to kyā ho
āvāz-e-nafas hī jise āvāz-e-darā ho

ḳhāmosh ho kyuuñ dard-e-mohabbat ke gavāho
da.ave ko nibāho mire naalo mirī aaho

har roz jo samjhāne chale aate ho nāseh
maiñ pūchhtā huuñ tum mujhe samjhe hue kyā ho

is dār-e-baqā meñ mirī sūrat koī dekhe
ik dam kā bharosā hai jo ik dam meñ fanā ho

mujh ko na sunā ḳhizr o sikandar ke fasāne
mere liye yaksāñ hai fanā ho ki baqā ho

wo qafila aaram-talab ho bhi to kya ho
aawaz-e-nafas hi jise aawaz-e-dara ho

KHamosh ho kyun dard-e-mohabbat ke gawaho
dawe ko nibaho mere nalo meri aaho

har roz jo samjhane chale aate ho naseh
main puchhta hun tum mujhe samjhe hue kya ho

is dar-e-baqa mein meri surat koi dekhe
ek dam ka bharosa hai jo ek dam mein fana ho

mujh ko na suna KHizr o sikandar ke fasane
mere liye yaksan hai fana ho ki baqa ho


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 197)

Leave a comment

+