Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


zindagi ka lutf bhi aa jaega


zindagī kā lutf bhī aa jā.egā
zindagānī hai to dekhā jā.egā

jis tarah lakḌī ko khā jaatā hai ghun
rafta rafta ġham mujhe khā jā.egā

hashr ke din merī chup kā mājrā
kuchh na kuchh tum se bhī pūchhā jā.egā

muskurā kar muñh chiḌā kar ghuur kar
jā rahe ho ḳhair dekhā jā.egā

kar diyā hai tum ne dil ko mutma.in
dekh lenā saḳht ghabrā jā.egā

hazrat-e-dil kaam se jā.ūñgā maiñ
dil-lagī meñ aap kā kyā jā.egā

dostoñ kī bevafā.ī par 'hafīz'
sabr karnā bhī mujhe aa jā.egā

zindagi ka lutf bhi aa jaega
zindagani hai to dekha jaega

jis tarah lakDi ko kha jata hai ghun
rafta rafta gham mujhe kha jaega

hashr ke din meri chup ka majra
kuchh na kuchh tum se bhi puchha jaega

muskura kar munh chiDa kar ghur kar
ja rahe ho KHair dekha jaega

kar diya hai tum ne dil ko mutmain
dekh lena saKHt ghabra jaega

hazrat-e-dil kaam se jaunga main
dil-lagi mein aap ka kya jaega

doston ki bewafai par 'hafiz'
sabr karna bhi mujhe aa jaega


Leave a comment

+