Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


koi chaara nahin dua ke siwa


koī chārā nahīñ duā ke sivā
koī suntā nahīñ ḳhudā ke sivā

mujh se kyā ho sakā vafā ke sivā
mujh ko miltā bhī kyā sazā ke sivā

bar-sar-e-sāhil murād yahāñ
koī ubhrā hai nāḳhudā ke sivā

koī bhī to dikhāo manzil par
jis ko dekhā ho rahnumā ke sivā

dil sabhī kuchh zabān par laayā
ik faqat arz-e-mudda.ā ke sivā

koī raazī na rah sakā mujh se
mere allāh tirī razā ke sivā

but-kade se chale ho kaabe ko
kyā milegā tumheñ ḳhudā ke sivā

dostoñ ke ye muḳhlisāna tiir
kuchh nahīñ merī hī ḳhatā ke sivā

mehr o mah se buland ho kar bhī
nazar aayā na kuchh ḳhalā ke sivā

ai 'hafīz' aah aah par āḳhir
kyā kaheñ dost vaah vā ke sivā

koi chaara nahin dua ke siwa
koi sunta nahin KHuda ke siwa

mujh se kya ho saka wafa ke siwa
mujh ko milta bhi kya saza ke siwa

bar-sar-e-sahil murad yahan
koi ubhra hai naKHuda ke siwa

koi bhi to dikhao manzil par
jis ko dekha ho rahnuma ke siwa

dil sabhi kuchh zaban par laya
ek faqat arz-e-muddaa ke siwa

koi raazi na rah saka mujh se
mere allah teri raza ke siwa

but-kade se chale ho kabe ko
kya milega tumhein KHuda ke siwa

doston ke ye muKHlisana tir
kuchh nahin meri hi KHata ke siwa

mehr o mah se buland ho kar bhi
nazar aaya na kuchh KHala ke siwa

ai 'hafiz' aah aah par aaKHir
kya kahen dost wah wa ke siwa

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Pankaj Udhas

Leave a comment

+