man-o-tū kā hijāb uThne na de ai jān-e-yaktā.ī
kahīñ aisā na ho ban jā.ūñ ḳhud apnā tamannā.ī
vahī maiñ huuñ vahī hai tere ġham kī kār-farmā.ī
kabhī tanhā.ī meñ mahfil kabhī mahfil meñ tanhā.ī
ḳhalish-añgez hai vo ālam-e-jazb-o-gurez ab tak
tirī achchhī burī har baat yuuñ to mujh ko yaad aa.ī
qusūr-e-zarf samjhūñ yā sho.ūr-e-lazzat-andozī
tire lutf-o-karam meñ tishnagī hī tishnagī paa.ī
na chhoḌā dāman-e-hosh-o-ḳhirad dil ne mohabbat meñ
sazā-e-dil hisār-e-āgahī kī qaid-e-tanhā.ī
man-o-tu ka hijab uThne na de ai jaan-e-yaktai
kahin aisa na ho ban jaun KHud apna tamannai
wahi main hun wahi hai tere gham ki kar-farmai
kabhi tanhai mein mahfil kabhi mahfil mein tanhai
KHalish-angez hai wo aalam-e-jazb-o-gurez ab tak
teri achchhi buri har baat yun to mujh ko yaad aai
qusur-e-zarf samjhun ya shour-e-lazzat-andozi
tere lutf-o-karam mein tishnagi hi tishnagi pai
na chhoDa daman-e-hosh-o-KHirad dil ne mohabbat mein
saza-e-dil hisar-e-agahi ki qaid-e-tanhai
Leave a comment