Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Sahar

  • Ghazal


qatar jugnuon ki raushni luTati rahi


qatār jugnuoñ kī raushnī luTātī rahī
maiñ rañg gūñdh ke titlī ke par banātī rahī

rakhā thā suuī kī Tik-Tik pe ik dhaḌaktā dil
yahī tamāsha ghaḌī haath kī dikhātī rahī

maiñ chāñdnī kī sahelī vo chāñd bhaa.ī mirā
tamām din yahī āvāz kaan khātī rahī

ghisā-piTā kahīñ kuchh intizār rotā rahā
havā ko dekho khaḌī sīTiyāñ bajātī rahī

vo thaap Dhol kī kuchh aur tez hotī ga.ī
ḳhamoshī baiThī mire paas gungunātī rahī

vo ek laḌkā sā lipTā huā charāġh ke saath
diyā-salā.ī mirī uñgliyāñ jalātī rahī

falak kī khūñTī se Tāñgā huā thā ek ḳhayāl
zamīñ pe baiThī tirī baat muskurātī rahī

maiñ barf-bārī meñ niklī thī aag sulgāne
vo nannhī titlī mire paañv jab dabātī rahī

qarīb laane kī tarġhīb dene vaale dekh
tirī ḳhushī meñ mirī zindagī bhī jaatī rahī

qatar jugnuon ki raushni luTati rahi
main rang gundh ke titli ke par banati rahi

rakha tha sui ki Tik-Tik pe ek dhaDakta dil
yahi tamasha ghaDi hath ki dikhati rahi

main chandni ki saheli wo chand bhai mera
tamam din yahi aawaz kan khati rahi

ghisa-piTa kahin kuchh intizar rota raha
hawa ko dekho khaDi siTiyan bajati rahi

wo thap Dhol ki kuchh aur tez hoti gai
KHamoshi baiThi mere pas gungunati rahi

wo ek laDka sa lipTa hua charagh ke sath
diya-salai meri ungliyan jalati rahi

falak ki khunTi se Tanga hua tha ek KHayal
zamin pe baiThi teri baat muskuraati rahi

main barf-bari mein nikli thi aag sulgane
wo nannhi titli mere panw jab dabaati rahi

qarib lane ki targhib dene wale dekh
teri KHushi mein meri zindagi bhi jati rahi


Leave a comment

+