koī batlā.e ki ye turfa tamāshā kyuuñ hai
aadmī bhiiḌ meñ rahte hue tanhā kyuuñ hai
paañv phailā.e hue ġham kā añdherā kyuuñ hai
aa ga.ī sub.h-e-tamannā to phir aisā kyuuñ hai
maiñ to ik zarra-e-nāchīz huuñ aur kuchh bhī nahīñ
vo jo sūraj hai mire naam se jaltā kyuuñ hai
tujh ko nisbat hai agar nām-e-barāhīm se kuchh
aag ko phuul samajh aag se Dartā kyuuñ hai
kaun sā ahd hai jis ahd meñ ham jiite haiñ
dasht to dasht hai dariyā yahāñ pyāsā kyuuñ hai
pī ke bahkegā to rusvā.ī-e-mahfil hogī
vo jo kam-zarf hai maiḳhāne meñ aayā kyuuñ hai
koī aaseb hai yā sirf nigāhoñ kā fareb
ek saaya mujhe har sū nazar aatā kyuuñ hai
yaad kis kī mah-o-ḳhurshīd liye aa.ī hai
shab-e-tārīk meñ aaj itnā ujālā kyuuñ hai
bad-havāsī kā ye aalam kabhī pahle to na thā
hashr se pahle hī ye hashr sā barpā kyuuñ hai
koi batlae ki ye turfa tamasha kyun hai
aadmi bhiD mein rahte hue tanha kyun hai
panw phailae hue gham ka andhera kyun hai
aa gai subh-e-tamanna to phir aisa kyun hai
main to ek zarra-e-nachiz hun aur kuchh bhi nahin
wo jo suraj hai mere nam se jalta kyun hai
tujh ko nisbat hai agar nam-e-barahim se kuchh
aag ko phul samajh aag se Darta kyun hai
kaun sa ahd hai jis ahd mein hum jite hain
dasht to dasht hai dariya yahan pyasa kyun hai
pi ke bahkega to ruswai-e-mahfil hogi
wo jo kam-zarf hai maiKHane mein aaya kyun hai
koi aaseb hai ya sirf nigahon ka fareb
ek saya mujhe har su nazar aata kyun hai
yaad kis ki mah-o-KHurshid liye aai hai
shab-e-tarik mein aaj itna ujala kyun hai
bad-hawasi ka ye aalam kabhi pahle to na tha
hashr se pahle hi ye hashr sa barpa kyun hai
Source: Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 291) Author : Hafeez Banarsi Publication : Hafeez Banarsi (2007) Edition : 2007
Leave a comment