Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Banarasi

  • Ghazal


tez jab KHanjar-e-bedad kiya jaega


tez jab ḳhanjar-e-bedād kiyā jā.egā
ham ġharīboñ kā galā yaad kiyā jā.egā

ġhair ko ḳhush hameñ nāshād kiyā jā.egā
kab talak ye sitam ījād kiyā jā.egā

ye to batlāo hameñ shahr basāne vaalo
dil kā vīrāna kab ābād kiyā jā.egā

aur kyā hogā tire ahd-e-sitam meñ ai dost
roz taaza sitam ījād kiyā jā.egā

ye jahāñ murda-parastoñ kā jahāñ hai yaaro
ham na hoñge to hameñ yaad kiyā jā.egā

dast-o-bāzū se bhī kuchh kaam liyā jaa.e 'hafīz'
tā-ba-kai shikva-e-sayyād kiyā jā.egā

tez jab KHanjar-e-bedad kiya jaega
hum gharibon ka gala yaad kiya jaega

ghair ko KHush hamein nashad kiya jaega
kab talak ye sitam ijad kiya jaega

ye to batlao hamein shahr basane walo
dil ka virana kab aabaad kiya jaega

aur kya hoga tere ahd-e-sitam mein ai dost
roz taza sitam ijad kiya jaega

ye jahan murda-paraston ka jahan hai yaro
hum na honge to hamein yaad kiya jaega

dast-o-bazu se bhi kuchh kaam liya jae 'hafiz'
ta-ba-kai shikwa-e-sayyaad kiya jaega


Source: Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 347) Author : Hafeez Banarsi Publication : Hafeez Banarsi (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+