Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Banarasi

  • Ghazal


lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai


lab-e-furāt vahī tishnagī kā manzar hai
vahī husain vahī qātiloñ kā lashkar hai

ye kis maqām pe laa.ī hai zindagī ham ko
hañsī laboñ pe hai siine meñ ġham kā daftar hai

yaqīn kis pe kareñ kis ko dost Thahrā.eñ
har āstīn meñ poshīda koī ḳhanjar hai

gila nahīñ mire hoñToñ pe tañg-dastī kā
ḳhudā kā shukr mirā dil abhī tavañgar hai

koī to hai jo dhaḌaktā hai zindagī ban kar
koī to hai jo hamāre diloñ ke andar hai

use qarīb se dekhā to ye huā mālūm
vo bū-e-gul nahīñ shamshīr-e-bād-e-sarsar hai

samajh ke aag lagānā hamāre ghar meñ tum
hamāre ghar ke barābar tumhārā bhī ghar hai

mirī jabīñ ko haqārat se dekhne vaale
mirī jabīñ se tirā āstāñ munavvar hai

tumhāre qurb kī lazzat nasīb hai jis ko
vo ek lamha hayāt-e-abad se behtar hai

hamārā jurm yahī hai ki haq-parast haiñ ham
hamāre ḳhuun kā pyāsā har ek ḳhanjar hai

vo mere sāmne aa.e to kis tarah aa.e
koī libās hai us kā na koī paikar hai

har ik balā se bachā.e hue hai jo ham ko
hamāre sar pe ye maañ kī duā kī chādar hai

bhaTak rahā huuñ maiñ sadiyoñ se dasht-e-ġhurbat meñ
koī to mujh ko batā.e kahāñ mirā ghar hai

abhī 'hafīz' gulāboñ kī baat mat kiije
lahūluhān abhī gulsitāñ kā manzar hai

lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai
wahi husain wahi qatilon ka lashkar hai

ye kis maqam pe lai hai zindagi hum ko
hansi labon pe hai sine mein gham ka daftar hai

yaqin kis pe karen kis ko dost Thahraen
har aastin mein poshida koi KHanjar hai

gila nahin mere honTon pe tang-dasti ka
KHuda ka shukr mera dil abhi tawangar hai

koi to hai jo dhaDakta hai zindagi ban kar
koi to hai jo hamare dilon ke andar hai

use qarib se dekha to ye hua malum
wo bu-e-gul nahin shamshir-e-baad-e-sarsar hai

samajh ke aag lagana hamare ghar mein tum
hamare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai

meri jabin ko haqarat se dekhne wale
meri jabin se tera aastan munawwar hai

tumhaare qurb ki lazzat nasib hai jis ko
wo ek lamha hayat-e-abad se behtar hai

hamara jurm yahi hai ki haq-parast hain hum
hamare KHun ka pyasa har ek KHanjar hai

wo mere samne aae to kis tarah aae
koi libas hai us ka na koi paikar hai

har ek bala se bachae hue hai jo hum ko
hamare sar pe ye man ki dua ki chadar hai

bhaTak raha hun main sadiyon se dasht-e-ghurbat mein
koi to mujh ko batae kahan mera ghar hai

abhi 'hafiz' gulabon ki baat mat kije
lahuluhan abhi gulsitan ka manzar hai


Leave a comment

+