kyā jurm hamārā hai batā kyuuñ nahīñ dete
mujrim haiñ agar ham to sazā kyuuñ nahīñ dete
kyā jalva-e-ma.anī hai dikhā kyuuñ nahīñ dete
dīvār-e-hijābāt girā kyuuñ nahīñ dete
tum ko to baḌā nāz-e-masīhā.ī thā yaaro
bīmār hai har shaḳhs davā kyuuñ nahīñ dete
kis dasht meñ gum ho ga.e ahbāb hamāre
ham kaan lagā.e haiñ sadā kyuuñ nahīñ dete
kam-zarf haiñ jo pī ke bahut ke haiñ sar-e-bazm
mahfil se unheñ aap uThā kyuuñ nahīñ dete
kyuuñ haath meñ larza hai tumheñ ḳhauf hai kis kā
ham harf-e-ġhalat haiñ to miTā kyuuñ nahīñ dete
kuchh log abhī ishq meñ gustāḳh bahut haiñ
ādāb-e-vafā un ko sikhā kyuuñ nahīñ dete
naġhma vahī naġhma hai utar jaa.e jo dil meñ
duniyā ko 'hafīz' aap batā kyuuñ nahīñ dete
kya jurm hamara hai bata kyun nahin dete
mujrim hain agar hum to saza kyun nahin dete
kya jalwa-e-mani hai dikha kyun nahin dete
diwar-e-hijabaat gira kyun nahin dete
tum ko to baDa naz-e-masihai tha yaro
bimar hai har shaKHs dawa kyun nahin dete
kis dasht mein gum ho gae ahbab hamare
hum kan lagae hain sada kyun nahin dete
kam-zarf hain jo pi ke bahut ke hain sar-e-bazm
mahfil se unhen aap uTha kyun nahin dete
kyun hath mein larza hai tumhein KHauf hai kis ka
hum harf-e-ghalat hain to miTa kyun nahin dete
kuchh log abhi ishq mein gustaKH bahut hain
aadab-e-wafa un ko sikha kyun nahin dete
naghma wahi naghma hai utar jae jo dil mein
duniya ko 'hafiz' aap bata kyun nahin dete
Source: Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 308) Author : Hafeez Banarsi Publication : Hafeez Banarsi (2007) Edition : 2007
Leave a comment