Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hadi Machlishahri

  • Ghazal


tumhein bhi malum ho haqiqat kuchh apni rangin-adaiyon ki


tumheñ bhī mālūm ho haqīqat kuchh apnī rañgīñ-adā.iyoñ kī
kabhī use chheḌ kar to dekho jo lai mire dil kī saaz meñ hai

abhī to ik qatra hī girā thā ki jis se halchal meñ hai zamāna
ḳhudā hī jaane ki kitnī quvvat dil-e-hazīñ ke gudāz meñ hai

ilāhī ḳhair us ke sañg-e-dar kī na ho kahīñ sarf-e-shauq vo bhī
ki zauq-e-sajda kī ek duniyā mirī jabīn-e-niyāz meñ hai

tumhein bhi malum ho haqiqat kuchh apni rangin-adaiyon ki
kabhi use chheD kar to dekho jo lai mere dil ki saz mein hai

abhi to ek qatra hi gira tha ki jis se halchal mein hai zamana
KHuda hi jaane ki kitni quwwat dil-e-hazin ke gudaz mein hai

ilahi KHair us ke sang-e-dar ki na ho kahin sarf-e-shauq wo bhi
ki zauq-e-sajda ki ek duniya meri jabin-e-niyaz mein hai


Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 527) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers

Leave a comment

+