Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Sahar

  • Ghazal


kuchh is pe sochna tha mashwara bhi karna tha


kuchh is pe sochnā thā mashvara bhī karnā thā
muāmle pe abhī tabsira bhī karnā thā

use bhī kahnā thā apnā ḳhayāl rakhne ko
bichhaḌte vaqt mujhe hausla bhī karnā thā

kisī ke naam ke din bhī bachā ke rakhne the
aur ek zindagī sā silsila bhī karnā thā

vo vāqi.āt bhī dil se mujhe bhulāne the
kahīñ kahīñ pe raqam sāneha bhī karnā thā

kahāñ pe aa ke kaḌī silsile kī TuuT ga.ī
kisī se maiñ ne kahīñ rābta bhī karnā thā

usī maqām pe aks apne maiñ ne dafnā.e
jahāñ pe nasb mujhe ā.īna bhī karnā thā

abhī to baat kā maiñ kar rahī thī andāza
pahuñch ke tah meñ mujhe faisla bhī karnā thā

nikal ke zindagī jaisī kaḌī haqīqat se
mujhe to talḳh sā ik tajraba bhī karnā thā

sunī haiñ us kī abhī tak shikāyateñ maiñ ne
bayān apnā koī mas.ala bhī karnā thā

nikālnā thī mujhe zindagī bhī mushkil se
mukammal ab ke koī dā.era bhī karnā thā

kuchh is pe sochna tha mashwara bhi karna tha
muamle pe abhi tabsira bhi karna tha

use bhi kahna tha apna KHayal rakhne ko
bichhaDte waqt mujhe hausla bhi karna tha

kisi ke nam ke din bhi bacha ke rakhne the
aur ek zindagi sa silsila bhi karna tha

wo waqiat bhi dil se mujhe bhulane the
kahin kahin pe raqam saneha bhi karna tha

kahan pe aa ke kaDi silsile ki TuT gai
kisi se main ne kahin rabta bhi karna tha

usi maqam pe aks apne main ne dafnae
jahan pe nasb mujhe aaina bhi karna tha

abhi to baat ka main kar rahi thi andaza
pahunch ke tah mein mujhe faisla bhi karna tha

nikal ke zindagi jaisi kaDi haqiqat se
mujhe to talKH sa ek tajraba bhi karna tha

suni hain us ki abhi tak shikayaten main ne
bayan apna koi masala bhi karna tha

nikalna thi mujhe zindagi bhi mushkil se
mukammal ab ke koi daera bhi karna tha


Leave a comment

+