mahv-e-kamāl-e-ārzū mujh ko banā ke bhuul jā
apne harīm-e-nāz kā parda uThā ke bhuul jā
jalva hai be-ḳhudī-talab ishq hai himmat-āzmā
dīda-e-mast yaar se aañkh milā ke bhuul jā
lutf-e-jafā isī meñ hai yād-e-jafā na aa.e phir
tujh ko sitam kā vāsta mujh ko miTā ke bhuul jā
laus-e-talab ke nañg se ishq ko be-niyāz rakh
ho bhī jo koī aarzū dil se miTā ke bhuul jā
mahw-e-kamal-e-arzu mujh ko bana ke bhul ja
apne harim-e-naz ka parda uTha ke bhul ja
jalwa hai be-KHudi-talab ishq hai himmat-azma
dida-e-mast yar se aankh mila ke bhul ja
lutf-e-jafa isi mein hai yaad-e-jafa na aae phir
tujh ko sitam ka wasta mujh ko miTa ke bhul ja
laus-e-talab ke nang se ishq ko be-niyaz rakh
ho bhi jo koi aarzu dil se miTa ke bhul ja
Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 522) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Leave a comment