Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hadi Machlishahri

  • Ghazal


uThne ko to uTTha hun mahfil se teri lekin


uThne ko to uTThā huuñ mahfil se tirī lekin
ab dil ko ye dhaḌkā hai jā.ūñ to kidhar jā.ūñ

marnā mirī qismat hai marne se nahīñ Dartā
paimāna-e-hastī ko labrez to kar jā.ūñ

tū aur mirī hastī meñ is tarha samā jaa.e
maiñ aur tirī nazroñ se is tarha utar jā.ūñ

duniyā-e-mohabbat meñ dushvār jo jiinā hai
mar kar hī sahī āḳhir kuchh kaam to kar jā.ūñ

uThne ko to uTTha hun mahfil se teri lekin
ab dil ko ye dhaDka hai jaun to kidhar jaun

marna meri qismat hai marne se nahin Darta
paimana-e-hasti ko labrez to kar jaun

tu aur meri hasti mein is tarha sama jae
main aur teri nazron se is tarha utar jaun

duniya-e-mohabbat mein dushwar jo jina hai
mar kar hi sahi aaKHir kuchh kaam to kar jaun


Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 524) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers

Leave a comment

+