ḳhalish-o-soz dil-figār hī dī
dil meñ shamshīr āb-dār hī dī
bevafā se muāmle ke liye
ik tabī.at vafā-shi.ār hī dī
kaifiyat dil kī byaan karne ko
ek āvāz dil-figār hī dī
ḳhaar ko to zabān-e-gul baḳhshī
gul ko lekin zabān-e-ḳhār hī dī
dil shab-e-zinda-dār ham ko diyā
husn ko chashm-e-pur-ḳhumār hī dī
ḳhud raqīboñ ke vāste maiñ ne
zulf ma.ashūq kī sañvār hī dī
kyā nasheb-o-farāz thī 'tanvīr'
zindagī aap ne guzār hī dī
KHalish-o-soz dil-figar hi di
dil mein shamshir aab-dar hi di
bewafa se muamle ke liye
ek tabiat wafa-shiar hi di
kaifiyat dil ki byan karne ko
ek aawaz dil-figar hi di
KHar ko to zaban-e-gul baKHshi
gul ko lekin zaban-e-KHar hi di
dil shab-e-zinda-dar hum ko diya
husn ko chashm-e-pur-KHumar hi di
KHud raqibon ke waste main ne
zulf mashuq ki sanwar hi di
kya nasheb-o-faraaz thi 'tanwir'
zindagi aap ne guzar hi di
Leave a comment