sher hotā hai ab mahīnoñ meñ
zindagī Dhal ga.ī mashīnoñ meñ
pyaar kī raushnī nahīñ miltī
un makānoñ meñ un makīnoñ meñ
dekh kar dostī kā haath baḌhāo
saañp hote haiñ āstīnoñ meñ
qahr kī aañkh se na dekh in ko
dil dhaḌakte haiñ ābgīnoñ meñ
āsmānoñ kī ḳhair ho yārab
ik nayā azm hai zamīnoñ meñ
vo mohabbat nahīñ rahī 'jālib'
ham-safīroñ meñ ham-nashīnoñ meñ
sher hota hai ab mahinon mein
zindagi Dhal gai mashinon mein
pyar ki raushni nahin milti
un makanon mein un makinon mein
dekh kar dosti ka hath baDhao
sanp hote hain aastinon mein
qahr ki aankh se na dekh in ko
dil dhaDakte hain aabginon mein
aasmanon ki KHair ho yarab
ek naya azm hai zaminon mein
wo mohabbat nahin rahi 'jalib'
ham-safiron mein ham-nashinon mein
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment