Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habib Jalib

  • Ghazal


ye jo shab ke aiwanon mein ek halchal ek hashr bapa hai


ye jo shab ke aivānoñ meñ ik halchal ik hashr bapā hai
ye jo añdherā simaT rahā hai ye jo ujālā phail rahā hai

ye jo har dukh sahne vaalā dukh kā mudāvā jaan gayā hai
mazlūmoñ majbūroñ kā ġham ye jo mire sheroñ meñ Dhalā hai

ye jo mahak gulshan gulshan hai ye jo chamak aalam aalam hai
marxism hai marxism hai marxism hai marxism hai

ye jo shab ke aiwanon mein ek halchal ek hashr bapa hai
ye jo andhera simaT raha hai ye jo ujala phail raha hai

ye jo har dukh sahne wala dukh ka mudawa jaan gaya hai
mazlumon majburon ka gham ye jo mere sheron mein Dhala hai

ye jo mahak gulshan gulshan hai ye jo chamak aalam aalam hai
marxism hai marxism hai marxism hai marxism hai


Leave a comment

+